fursat
Fursat!
एक पहाड़ी गाँव के पीछे
तौस के एक पेड़ के नीचे
पीठ टिकाकर, घुटने मोड़कर
दिमाग के तपते तवे पर
एक बर्फाब मौसम छोड़कर
टिम्बकटू – झुमरी तलैया हाईवे के पीछे
एक टपरी के छप्पड़ के नीचे
घडी की टिकटिक छोड़ कर
कान के पर्दों पर
बारिश की टिपटिप ओढ़कर
गली मीर कासिम की ढलान के नीचे
ग़ालिब की मज़ार के पीछे
वक़्त का जमता पत्थर तोड़कर
नीले पीले, रंग बिरंगे
कुछ जिंदा लम्हें जोड़कर
आज भी कुछ दिल ढूंढते हैं
फिर वही, फुर्सत के रात दिन|
ek pahadi gaon ke peeche
tous ke ek ped ke neeche
peeth tikakar, ghutne modkar
dimaag ke tapte tave par
ek barfaab mausam chhodkar
timbuktu – jhumri talaiyya highway ke peeche
ek tapri ke chappar ke neeche
ghadi ki tiktik chhodkar
kaan ke pardon par
baarish ki tiptip oodhkar
gali mir kaasim ki dhalaan ke neeche
ghalib ki mazaar ke peechhe
waqt ka jamta patthar todkar
neele peele, rang birange
kuchh zinda lamhe jodkar
aaj bhi kuchh dil dhoondhte hain
phir wahi, fursat ke raat din.
टपरी: tea stall, चाय की दुकान | मीर कासिम जान: alley where Ghalib lived in delhi, दिल्ली की एक गली जहाँ ग़ालिब रहते थे
Sun | Mon | Tue | Wed | Thu | Fri | Sat |
---|---|---|---|---|---|---|
1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | 7 |
8 | 9 | 10 | 11 | 12 | 13 | 14 |
15 | 16 | 17 | 18 | 19 | 20 | 21 |
22 | 23 | 24 | 25 | 26 | 27 | 28 |
29 | 30 | 31 | 1 | 2 | 3 | 4 |
Comments
Add new comment