hometown

 

Average: 9.4 (5 votes)

Hometown!

इस शहर में बिजली नहीं जाती

उस शहर में बिजली बहुत जाती थी

 

उस शहर में

रात को जब बिजली जाती थी

तो खिडकियों की

महीन जालियों में फंसकर

लडखडाता सा चाँद

ज़मीं पर आता था

 

उस शहर में

चाँद ज़मीं पर आता था|

 

इस शहर में

बिजली नहीं जाती

इस शहर में

पहले से चकाचौंध बहुत है

इस शहर में

चाँद ज़मीं पर आते डरता है|

 

is sheher mein bijli nahi jaati

us sheher mein bijli bahut jaati thi

 

us sheher mein

raat ko jab bijli jaati thi

to khidkiyon ki

maheen jaliyon mein fanskar

ladkhadata sa chand

zameen par aata tha

 

us sheher mein

chand zameen par aata tha

 

is sheher mein

bijli nahi jaati

is sheher mein

pehle se chakachaundh bahut hai

is sheher mein

chand zameen par aate darta hai

महीन: fine, बारीक   |   जाली: netting   |   चकाचौंध: glitz

n

Comments

jyotsna's picture
hum vo bhagyashali log hain jinke shaher mein chand zameen par aata hai. par hamari aane waali peedhi chand ki chandni kaisi hoti hai ye bhi shayad hi jaan paaye.

Add new comment

December 2024
SunMonTueWedThuFriSat
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930311234

In | Subscribe | Home | About us | Mission | Poet | Share

Words | Archive | Comments | Rating