piyakkad

Average: 9.3 (4 votes)

Piyakkad!

मेरी खिड़की के बाहर खड़ा

अमलतास का पेड़

आज फिर

सुबह से ही झूम रहा है

हवाओं के झोंकें पिलाते जाते हैं

और ये बेहिस

पीता जाता है|

 

शाम को जब कोयल वापस आएगी

और कूक कूक के पूछेगी

“आज फिर सुबह से ही शुरू हो गए थे?”

तो होश फाख्ता हो जायेंगे

और ऐसे खड़ा हो जायेगा गुमसुम

जैसे कुछ जानता ही ना हो|

 

meri khidki ke bahar khada

amaltas ka ped

aaj phir

subah se hi jhoom raha hai

hawaon ke jhonken pilate jaate hain

aur ye behis

peeta jaata hai.

 

shaam ko jab koyal wapas aayegi

aur kook kook ke poochhegi

“aaj phir subah se hi shuru ho gaye the?”

to hosh fakhta ho jayenge

aur aise khada ho jayega gumsum

jaise kuchh jaanta hi na ho.

पियक्कड़: drunkard   |   अमलतास: laburnum   |   बेहिस: senseless, बेहोश   |   होश फाख्ता होना: dumbstruck, होश उड़ जाना

n

Comments

rktyagi's picture
Arre waah "Piyakkad!"
rkgoel's picture
pic.is not clear.vichhar theek hai.
Anonymous's picture
make little correction. 1st para, last line. I think you mean to say "behisab" & not "behis". aise kavita achchhi lagi par amaltas kya pita ka raha hai, is pe bhi chand panktiya honi chihiye. Khoobsurati aur badh jayegi

Add new comment

October 2024
SunMonTueWedThuFriSat
293012345
6789101112
13141516171819
20212223242526
272829303112

In | Subscribe | Home | About us | Mission | Poet | Share

Words | Archive | Comments | Rating